Like us on Facebook

Wednesday, 29 July 2015

Maharashtra ke raajyapaal si vidyaasaagar Rao ne 1993 ke Mumbai visfoton ke doshi yaakoob meman ki daya yaachika ko Budhvaar ko samvidhaan ke anuchhed 161 ke tahat khaarij kar diya aur is tarah uske faansi se bachane ki ummeed khatm ho gayi. Rajbhavan ke ek pravakta dvaara jaari vigyapti ke anusaar, ''Raajyapaal ne samvidhaan ke anuchhed 161 ke tahat yaakoob meman ki daya yaachika ko khaarij kar diya. '' anuchhed 161 kisi kaanoon ke khilaaf kisi aparaadh ke doshi vyakti ki saja ko maaf karne, raahat dene ya kshamaadaan dene ya usaki saja ko nilambit karne, kam karne ya halki saja mein tabdeel karne ke adhikaaron se sambandhit hai. Meman ne 21 July ko uchchatam nyaayaalaya dvaara usaki upachaaraatmak yaachika ko khaarij kiye jaane ke kuchh hi ghante baad yaachika raajyapaal ke samaksh daakhil ki thi. Aaj raajyapaal ka faisala sheersh adaalat dvaara meman ki us yaachika ko khaarij kiye jaane ke tatkaal baad aaya jismein usane kal use di jaane waali faansi ki saja par rok lagaane ki maang ki thi. Is saal April mein ek taada adaalat ne meman ko Nagpur keindreeya jail mein faansi dene ke liye 30 July ki taareekh tay ki thi jahaan vah band hai. Meman ki faansi par rok lagaane ki usaki yaachika par uchchatam nyaayaalaya ki do nyaayaadheeshon ki ek peeth mein mat vibhaajan ke baad faisale ke liye uchchatam nyaayaalaya ne kal teen nyaayaadheeshon ki peeth banaai thi aur sheersh adaalat ki is vruhad peeth ne aaj yaakoob ki yaachika khaarij kar di. Ghatnaakram par pratikriya dete hue mukhyamantri Devendra fadanavees ne kaha ki kaanoon apna kaam karega aur janta ko sanyam baratana chaahiye. Fadanavees ne vidhaan bhavan mein samvaadadaataaon se kaha, ''Kaanoon apna kaam karega. Main sabhi se sanyam baratne ki appeal karta hoon. '' Mumbai (tatkaaleen Mumbai) mein 12 March, 1993 ko saajish ke tahat 12 visfot kiye gaye the jinmein 257 log maare gaye aur 700 se jyaada log ghaayal ho gaye the.

Sunday, 7 June 2015

Mohabbat Yeh Lyrics - Ishqedarriyaan | Bilal Saeed

Aankh hai abhi namm zara si Zindagi dhoondhe wajah si re.. Ehsaas wo phir tera gham bhar de Jab mujhe tu tanha sa kar de re.. Mere lafz tu hi, jaan bhi Mera ishq pe imaan bhi Sajde kare insaan hi Dikhe tujhme phir jahaan bhi Jitna bhulaaye utna rulaaye Huve tum paraaye jo Ab jo bhi chaahe jitna bhi chaahe Phir bhi rulaaye woh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh.. Aansuon ko mile na koi wajah khushi ki Dard hai ke ye dil se jaata hi nahi Ake thehra hai mere sine me tera gham is tarah Phool sehra me koi khilta hai sawan ka jis tarah Lagte hain saare apne paraaye Dil chot khaaye toh Ab jo bhi chaahe jitna bhi chaahe Phir bhi rulaaye woh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh.. Lamha lamha huaa hai mujhse yun ajnabi Jaise ki zindagi mein zindagi hi nahi Namm hai yeh aankh, gum hai alfaaz Khamosh hai zubaan Chhod aaya main dhadkano ko Tha tune chhoda jahaan Jiske liye ho sapne sajaaye Wohi tod jaaye toh Ab jo bhi chaahe jitna bhi chaahe Phir bhi rulaaye woh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh Mohabbat yeh.. ho jaaye toh..

DAS DE LYRICS - Ishqedarriyaan | Mohit Chauhan

Das dae ve rabba saanu das dae Kyun rou pende nain jadon hansde (x2) Kivein sahaanga tutte khwaban da nuksaan Kivein sahaanga tutte khwaban da nuksaan Unglaan te reh gaye chhalleyan de nishan Unglaan te reh gaye chhalleyan de nishan Das de ve rabba saanu das de Kyun rou pende nain jadon hansde Naal naal tur de hoyan raahan kat gayiaan Ohde baajon meriyan saahan ghat gayiaan (x2) Zindagi nu kho ke jeena nahi aasaan Zindagi nu kho ke jeena nahi aasaan Unglaan te reh gaye chhalleyan de nishan Unglaan te reh gaye chhalleyan de nishan Das de ve rabba saanu das de Kyun rou pende nain jadon hansde Hathaan vicho jadon ohde hath mera chutteya Ki dasaan laqeeran vichon kujh si tutteya (x2) Taqdeeran nu jodan waali koi nahi dukaan Taqdeeran nu jodan waali koi nahi dukaan Unglaan te reh gaye chhalleyan de nishan Unglaan te reh gaye chhalleyan de nishan Das de ve rabba saanu das dae Kyun rou pende nain jadon hansde Kivein sahaanga tutte khwaban da nuksaan Kivein sahaanga tutte khwaban da nuksaan Unglaan te reh gaye chhalleyan de nishan Unglaan te reh gaye chhalleyan de nishan Das de ve rabba saanu das de Kyun rou pende nain jadon hansde

Ishqedarriyaan Title Song Lyrics - Ankit Tiwari

Rishtedariyan chhod jaayein Ishqedarriyaan sang jaayein Dildaariyaan dhal jaayein Ishqedarriyaan rang jaaein Mattha bhi mitthi bhi laage Khatta bhi meethi bhi laage Thodi si teekhi bhi ishqdaari Kacchi bhi pakki bhi laage Jhooti bhi sacchi bhi laage Thodi si acchi bhi ishqdaari Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa.. Din raat ki baahon mein kho jaayein Dil jinse miley, apne ho jaayein Subah ki bholi bhi laage Shaam ki bhaali bhi laage Thodi si bhooli bhi ishqdaari Kacchi bhi pakki bhi laage Jhooti bhi sacchi bhi laage Thodi si acchi bhi ishqdaari Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa.. Aaja main haathon ko badh jaayein Aa khud apni duniya bann jaayein Chhat na chhajja na chaahe Lajj na lajja na chaahe Thodi si bacchi bhi ishqdaari Rishtedariyan chhod jaayein Ishqedarriyaan sang jaayein Dildaariyaan dhal jaayein Ishqdariyan rang jaayein Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa.. Ishqaa..